OONCHA RAHE APNA ALAM
1. Jab Tak Hay Douray Aasmaa
Sun Lay Yea Hur Peero Jaawaa
Aawaz Par Shabbir Kee
Bartaa Rahay Yea Kaarwaan
Kuckne Naa Paayea Yea Qadam
Ooncha Rahe Apna Alam
2. Hur Qaib Par Chaate Chaloo
Duniya Kou Batlaatay Chaloo
Ek Ek Maahazay Zulm Ki
Tasveer Dikhlatay Chaloo
Hur Dil Main Bhardou Shay Ka Gum
Ooncha Rahe Apna Alam
3. Kub Tak Na Manay Ga Kohi
Wo Waqt Aayea Ga Kabhi
Hur Qaib Par Chaa Tayega
Apna Hussain Ibne Ali
Duniya Rahay Zeray Qadam
Ooncha Rahe Apna Alam
4. Jub Bhee Kohi Mushkil Padae
Duniya Iseedar Par Jhukee
Seenou Say Bal Kaa Kar Udhar
Uthee Sadayea Ya Ali
Niklaa Idahar Batil Ka Dum
Ooncha Rahe Apna Alam
5. Yea Parchamay Abbas Hai
Toute Dildu Ke Aas Hai
Ub Tak Isee Parcham Talay
Zinda Kisee Ke Aas Hai
Jisnay Saahai Laakho Sitam
Ooncha Rahe Apna Alam
6. Abbas Hay Naamay Waafa
Aagaz-O-Aanjamay Waafa
Moo Mord Kar Dariya Say Too
Peeta Rahaa Jaamay Waafa
Houtay Rahay Baazu Khalam
Ooncha Rahe Apna Alam
7. Jab Karbala Yaad Ayegi
Insaniyat Sharmaayegi
Mazloom Ki Aqaaz Hai
Dil Mein Utarti Jayegi
Palthege Phir Behke Khadam
Ooncha Rahe Apna Alam
8. Zinda hai halmin ki saada
Mitta nahi khoon kaa likha
Shabbier kay haq ki kasam
Ek moujezaa hai karbala
Yea Silsilaa hoga na kum
Ooucha Rahe Apan Alam
9. Ay Naujawanane Azaa
Tum Ho Kisi Dil Ki Duva
Taa Hashr Uthti Hi Rahe
Seenau Se Maatam Ki Sada
Qayam Rahe Akbar Ka Gam
Ooncha Rahe Apna Alam
Abbas utho main lutti hoon
Baba ki wasiyat
yaad karo
Mujh bekas imdaad
karo
Chinti hai mere sar
se chadar
Abbas utho main
lutti hoon
Kitna ghera sannata
hai
Waishat se jigar
tarrata hai
Is jungal main,
main jau kidar
Abbas utho main
lutti hoon
Jungal main sakina
khoyi hoon
Kya jaane kaha wo
sooyi hai
Doondu kahan usko
jakar
Abbas utho main
lutti hoon
Zainab ye kaise
waqt aaya
Hum khak par baite
hai baiyya
Hai khambre
payamber zero zabar
Abbas utho main
lutti hoon
Main kabse bulati
hoon tumko
Faryaad sunati hoon
tumko
Aajao tarai se utkar
Abbas utho main
lutti hoon
Agosh imamat ke pale
Aye mere rida ke
rakwale
Balbe main khadi
hoon nange sar
Abbas utho main
lutti hoon
Dukh dard ke badal
chate hai
Jab shahe huda yaad
ate hai
Chalte hai mere dil
par khanjar
Abbas utho main
lutti hoon
Daman main koyi
dilbar bhi nahi
Had ye hai ali
asghar bhi nahi
Akber bhi gaye
barchi khakar
Abbas utho main
lutti hoon
Likha hai bilal e
karbobala
Hilti thi zameen
roti thi fiza
Jab kehti ti zainab
ro ro kar
Abbas utho main
lutti hoon
Gham pe gham Sugha ko tadpate rahe
Gham pe gham Sugha ko tadpate rahe
Ghash pe ghash beemar ko aate rahe
Karbala ka hal zainab ka bayaan
Ashk sughra ke huwe us dam rawa
Lut chukka bibi hamara karwaan
Gham pe gham Sugha ko tadpate rahe
Run main godi ke pale bhi rehgaye
Har koyi raahe khuda main jachuke
Sath ab aun o mohd na rahe
Gham pe gham Sugha ko tadpate rahe
Bandkar sehra gaye ibne hasan
Hogaye paamaal run main gulbadan
Ashkiya ghadon dourate rahe
Gham pe gham Sugha ko tadpate rahe
Hogaya besheer ik tasna dahan
Sath aana paaye wo shirin sukan
Jal chukka zehra ka ghar jane chaman
Gham pe gham Sugha ko tadpate rahe
Neher par pahunche saka e haram
Hogaye abbas ke bazu kalaam
Hogaye jab berida sugra bhi hum
Gham pe gham Sugha ko tadpate rahe
Thokare shabbir wok hate rahe
Kya kahun kaime se jab akber gaye
Lashe akber par sarwar gir pade
Gham pe gham Sugha ko tadpate rahe
Shahedeen ke waste maqtal saja
Sajdaye aakar main unka sar kata
Agayi maqtal main roti Fatima
Gham pe gham Sugha ko tadpate rahe
Bekason par chayi shame alaam
Parte hai sabir jo nauha dam badan
Aj iqbal pe shey ka karam
Gham pe gham Sugha ko tadpate rahe
Ghazi Abbas Ke parcham ko uthate rehna
Ghazi Abbas Ke parcham
ko uthate rehna
Ghazi Abbas Ke parcham ko uthate rehna
Hum Hussaini hai, zamane ko batate rehna
Hai ye shehzadi zainab ki tamanna sunlo
Apni ghar farshe aza se aap bichate rehna
Ghazi Abbas Ke parcham ko uthate rehna
Hum Hussaini hai, zamane ko batate rehna
Fatima aayi hai roomal liye majlis main
Ashk ankhon se ghame sheh bahate rehna
Ghazi Abbas Ke parcham ko uthate rehna
Hum Hussaini hai, zamane ko batate rehna
Waar kar jhoole pe asghar ki mere maa behno
Apni aulaad ko parwan cadate rehna
Ghazi Abbas Ke parcham ko uthate rehna
Hum Hussaini hai, zamane ko batate rehna
Nusrate hazrate shabbir agar ho karni
Apne seenon se lahoo apna bahate rehna
Ghazi Abbas Ke parcham ko uthate rehna
Hum Hussaini hai, zamane ko batate rehna
Wasta deeke sakina ka shahewala ko
Apni sooyi huwi taqdeer jagate rehna
Ghazi Abbas Ke parcham ko uthate rehna
Hum Hussaini hai, zamane ko batate rehna
Taskira karke hussain ibne ali ka sahil
Jab talak saas hai gham sheh ka manate rehna
Ghazi Abbas Ke parcham ko uthate rehna
Hum Hussaini hai, Zamane ko batate rehna
Baba Sakina ko
baba sakina ko aab goud
main le lo
mere baba yeh kaise tute sitam (tute sitam )jawab
sunau kis ko main rudad-e-alam (rudad-e-alam)jawab
tum wakif ho aab koi nahi hai mera ghar lut gaya sara
bas akhiri ek baar seene se laga lo(jawab)
baba sakina ko aab goud main le lo-------(jawab)
akele kyun mujhe tum chod gaye(tum chod gaye)jawab
chahitti beti se muh moud gaye (muh moud gaye)jawab
beti ko koi yun kar deta hai tanha dil rota hai mera
bas akhiri ek baar seene se laga lo(jawab)
baba sakina ko aab goud main le lo-------(jawab)
tamachae khaaayi aur main ro na saki(main ro na saki)jawab
tumhari yaad mein main so na saki(main so na saki)jawab
is beti ka bistar tha tumhara seena aab khaaak beechoona
bas akhiri ek baar seene se laga lo(jawab)
baba sakina ko aab goud main le lo-------(jawab)
akele so gaye tum maqtal main(tum maqtal main(jawab)
tumhe dhundu kahan main jungle main(main jungle main)
hai beekhre huve maidan main sare lashe harsu sannate
bas akhiri ek baar seene se laga lo(jawab)
baba sakina ko aab goud main le lo-------(jawab)
hai zakhmi raaste gurbat ka safar(gurbat ka safar)
rulate hai mujhe sare manzar(sare manzar)
untoo se woh nanhe baacho ka gir jaana maao ka tadapna
bas akhiri ek baar seene se laga lo(jawab)
baba sakina ko aab goud main le lo-------(jawab)
teri beti main aab himath bhi nahi(himath bhi nahi)
pukaru kis ko main takat bhi nahi(takat bhi nahi)
khulwadu zara aakar gardan ki raasi dam ghuta hai mera
bas akhiri ek baar seene se laga lo(jawab)
baba sakina ko aab goud main le lo-------(jawab)
neegaho main kisi ka zakhmi badan(zakhmi badan)
wahin baithi huvi ek bewa dulhan(bawa dulhan)
ek maa ki neegahon main hai nanha laasha aur khali jhula
bas akhiri ek baar seene se laga lo(jawab)
baba sakina ko aab goud main le lo-------(jawab)
lahoo main tar mere bhai ka badan(bhai ka badan)
phuphi maa behane hai paband rasan(paband rasan)
rota hai tadapta hai aab sar kunbaa bolo main karu kya
bas akhiri ek baar seene se laga lo(jawab)
baba sakina ko aab goud main le lo-------(jawab)
huvi bibi pe hai kitne sitam (kitne sitam)
rasheed aab kaise ho sab haale rakham(sab haale rakham)
bas gunj raha hai us bibi ka nouha baba mera baba
bas akhiri ek baar seene se laga lo(jawab)
baba sakina ko aab goud main le lo-------(jawab)
Designed and Edited By:
-Tiger Hussain (M.E,Mech. Engineer, Dubai,U.A.E)
Reviewed and Approved By:
-Nasreen Hussain (M.B.A Human Resource,H.R,Dubai,U.A.E)